ab khwahish-e-talafi-e-mafat bhi gai ji mein jo thi ek baat so wo baat bhi gai afkar-e-nau-ba-nau ne kiya waqt raegan kin uljhanon mein fursat-e-auqat bhi gai radd-e-sawal se nahin be-khauf arz-e-shauq phir baat kya karenge agar baat bhi gai ahwal-e-haal hi ko muqaddar samajh liya lo aaj fikr-e-gardish-e-haalat bhi gai hain subh ke hisab mein akhtar shumariyan chamka na aaftab to kya raat bhi gai hai aaj aabgina-e-ehsas chur chur jaane kahan rawani-e-jazbaat bhi gai wo aaj kho gaya hai 'munawar' hujum mein ummid-e-yar bahr-e-mulaqat bhi gai