ab ki holi mein raha be-kar rang

By imam-bakhsh-nasikhMarch 19, 2024
ab ki holi mein raha be-kar rang
aur hi laya firaq-e-yar rang
surkh-ru kar de sharab aai bahaar
hai khizan se zard ai khummar rang


hont ude sabz khat aankhen siyah
chehre ka surkh-o-safed ai yar rang
hum ko sare gulshan-e-afaq mein
bas pasand aae yahi do-chaar rang


ghair se kheli hai holi yar ne
dale mujh par dida-e-khun-bar rang
kis ki holi jashn-e-nau-rozi hai aaj
surkh mai se saqiya dastar rang


hijr-e-jaanan mein thaharta hi nahin
kya hi mere munh se hai bezar rang
kya hai girgit aasman ke samne
badle ek ek dam mein sau sau bar rang


aati hai o qais laila dasht mein
khun-e-pa se jild ab pur-khar rang
dhup hai par mere roz-e-hijr ka
hai ba-rang-e-saya-e-diwar rang


ho gaya kyun zard 'nasikh' kya kahun
hai zamane ka ajab ai yar rang
66122 viewsghazalEnglish