ab koi aarzu nahin zauq-e-payam ke siwa ab koi justuju nahin shauq-e-salam ke siwa koi sharik-e-gham nahin ab teri yaad ke baghair koi anis-e-dil nahin ab tere nam ke siwa teri nigah-e-mast se mujh pe ye raaz khul gaya aur bhi gardishen hain kuchh gardish-e-jam ke siwa khwahish-e-arzu sahi hasil-e-zindagi magar hasil-e-arzu hai kya soz-e-mudam ke siwa aah koi na kar saka chaara-e-talkhi-e-firaq nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke siwa rang-e-bahaar par na bhul bu-e-chaman se dar-guzar ye bhi hain khush-numa fareb dana-o-dam ke siwa mar ke hayat-e-jawidan ishq ko mil gai 'hafiz' ji ke hawas ko kya mila marg-e-dawam ke siwa