ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye bol ai hawa-e-shahr kidhar jaana chahiye kab tak isi ko aakhiri manzil kahenge hum ku-e-murad se bhi udhar jaana chahiye wo waqt aa gaya hai ki sahil ko chhod kar gahre samundaron mein utar jaana chahiye ab raftagan ki baat nahin karwan ki hai jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye kuchh to subut-e-khun-e-tamanna kahin mile hai dil tahi to aankh ko bhar jaana chahiye ya apni khwahishon ko muqaddas na jaante ya khwahishon ke sath hi mar jaana chahiye