ab to aisa koi manzar bhi dikhaya jae jis se rote hue bachchon ko hansaya jae jurm duniya mein yahi sab se bada hai ba-khuda dil kisi ka kabhi hargiz na dukhaya jae atomi bam ke dhamakon mein pale bachchon ko kaise mitti ke khilaunon se lubhaya jae kitne masum hain bhole se ye raushan chehre in ko raunda nahin palkon pe bithaya jae waqt-e-rukhsat ye kaha phul ne ek bulbul se kuchh to mear-e-wafa aur badhaya jae ab 'shagufta' ko jo tabir se dar lagta hai us ki aankhon se har ek khwab churaya jae