ab to ye bhi hone laga hai hum mein un mein baat nahin duniya wale puchhte hain kya pahle se haalat nahin ek agar ho ishq ki bazi to phir koi baat nahin kaun sa aisa khel hai jis mein hum ne khai mat nahin aankh se aansu ban ke bahen jo aise sab jazbaat nahin dil ka zakhm chhupa ke jina sab ke bas ki baat nahin din to din hai tere bin ab raat ki bhi auqat nahin tum mil jao aur sab bazi haaren bhi to mat nahin 'zahid' ki ye sari qanaat kya teri saughat nahin thodi pi kar ziyaada bahke aisi us ki zat nahin