ab tu ho kisi rang mein zahir to mujhe kya thahre tere ghar koi musafir to mujhe kya virana-e-jaan ki jo faza thi so rahegi chahke kisi gulshan mein wo tair to mujhe kya wo shama mere ghar mein to be-nur hi thahri bazar mein wo jins ho nadir to mujhe kya wo rang-fishan aankh wo taswir-numa hath dikhlaen nae roz manazir to mujhe kya main ne use chaha tha to chaha na gaya main chahe mujhe ab wo meri khatir to mujhe kya duniya ne to jaana ki numu us mein hai meri ab ho wo meri zat ka munkir to mujhe kya ek khwab tha aur bujh gaya aankhon hi mein apni ab koi pukare mere shair to mujhe kya