ab wo kahte hain muddaa kahiye

By mahesh-chandra-naqshNovember 4, 2020
ab wo kahte hain muddaa kahiye
sochta hun ki 'naqsh' kya kahiye
zindagi zindagi se ruth gai
hae ab kis ko aashna kahiye


hai taghaful ka kyun gila un se
aah-e-sozan ko na-rasa kahiye
apni kashti to dub hi jati
azm-e-mohkam ko nakhuda kahiye


thartharahat haya ki us rukh par
raqs-e-nairangi-e-saba kahiye
khoi khoi hain dhadkanen dil ki
phir mohabbat ki ibtida kahiye


ittifaqan ye aap ka milna
ek rangin hadsa kahiye
na-shanas-e-alam ho jo hasti
sach to ye hai ki be-maza kahiye


dushman-e-jaan to dushman-e-jaan hai
ghamgusaron ko 'naqsh' kya kahiye
44815 viewsghazalEnglish