ab yahin se zawal hai us ka

By shahbaz-talibJanuary 5, 2024
ab yahin se zawal hai us ka
wo khuda hai khayal hai us ka
us ke jaisi hi dhup hai mujh par
mere jaisa hi haal hai us ka


wo taqaze kare hai tanhai
ghar mein rahna muhaal hai us ka
koi but hi jawab dega use
kafirana sawal hai us ka


waqt-e-rukhsat wo kis qadar khush tha
aur bichhad kar jo haal hai us ka
us badan ko padho tasalli se
misra' misra' kamal hai us ka


98285 viewsghazalEnglish