ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jate hain kaise chehre hain jo milte hi bichhad jate hain kyun tere dard ko den tohmat-e-virani-e-dil zalzalon mein to bhare shahr ujad jate hain mausam-e-zard mein ek dil ko bachaun kaise aisi rut mein to ghane ped bhi jhad jate hain ab koi kya mere qadmon ke nishan dhundega tez aandhi mein to kheme bhi ukhad jate hain shaghl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log pattharon mein bhi kabhi aaine jad jati hain soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath chand chehron ke khad-o-khal bigad jate hain shiddat-e-gham mein bhi zinda hun to hairat kaisi kuchh diye tund hawaon se bhi lad jate hain wo bhi kya log hain 'mohsin' jo wafa ki khatir khud-tarashida usulon pe bhi ad jate hain