abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya khabar kya ho khuda malum ye saman kya ho jae sar kya ho ye aah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho jahan insan kho jata ho khud phir us ki mahfil mein rasai kis tarah ho dakhl kyunkar ho guzar kya ho na puchhunga main ye bhi jam mein hai zahr ya amrit tumhaare hath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho murawwat se ho begana wafa se dur ho koson ye sach hai naznin ho khubsurat ho magar kya ho shagufe dekh kar mutthi mein zar ko muskuraate hain ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyai par khuda se jo nahin darta use bande ka dar kya ho kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki kaha us ne bhadak utthe agar soz-e-jigar kya ho kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta kaha aankhen koi talwon se mal dale agar kya ho kaha main ne qadam bhar par hai wo surat dikha aao kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho kaha main ne jo mar jae to kya ho soch tu dil mein kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho kaha main ne khabar bhi hai ki di jaan us ne ghut ghat kar kaha mar jae chupke se to phir mujh ko khabar kya ho