'abas hai pesh-e-arbab-e-sukhan azm-e-sukhan mujh ko wafa kahne na degi qissa-e-ranj-o-mehan mujh ko qafas mein mil gaya hai in dinon kuchh lutf hi aisa ki bhule se nahin aati kabhi yaad-e-chaman mujh ko khizan ki aafaten phirti hain ab tak meri nazron mein bahaar-e-chand-roza kya dikhata hai chaman mujh ko but-e-tarrar se jab shikwa-e-bedad karta hun sunata hai wo zalim sar-guzasht-e-kohkan mujh ko wo hans kar dekh lete hain jo kuche se guzarta hun mubarakbaad 'bekhud' mera ye diwana-pan mujh ko