abhi abhi jo falak par se guzare gae tumhaari aankh se aise kai sitare gae tumhaare hont se nikle har ek lafz ki khair ki jaise un pe gulabon ke phul ware gae kisi ne nind mein aa kar nahin chhua hum ko ye baal khwab mein rah kar nahin sanware gae pahal pahal to wo honton se dekhe jate rahe phir us ke baad meri aankh se pukare gae tere visal ki khwahish kahin pe rakkhi gai tere visal ke arse kahin guzare gae magar wo lahr hamari taraf nahin palti agarche dhyan bahut us taraf hamare gae tumhaare jaane se kuchh khas to nahin hua bas charagh rakkhe gae aaine utare gae