abhi farman aaya hai wahan se ki hat jaun main apne darmiyan se yahan jo hai tanaffus hi mein gum hai parinde ud rahe hain shakh-e-jaan se daricha baz hai yaadon ka aur main hawa sunta hun pedon ki zaban se zamana tha wo dil ki zindagi ka teri furqat ke din laun kahan se tha ab tak marka bahar ka darpesh abhi to ghar bhi jaana hai yahan se fulan se thi ghazal behtar fulan ki fulan ke zakhm achchhe the fulan se khabar kya dun main shahr-e-raftagan ki koi laute bhi shahr-e-raftagan se yahi anjam kya tujh ko hawas tha koi puchhe to mir-e-dastan se