abhi ji-bhar ke p lo phir na ye mausam badal jae
By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
abhi ji-bhar ke p lo phir na ye mausam badal jae
na jaane ye pari phir kaun se shishe mein dhal jae
bahut samjha-bujha kar rah par lae hain is dil ko
kahin zalim na phir koi nirali chaal chal jae
du'aon se mile bhi kuchh to shayad maut milti hai
ye wo jadu nahin jo zindagi ke sar pe chal jae
junun le kar chala hai mujh ko phir ku-e-harifan mein
jo baqi rah gaya hai ab wo kanta bhi nikal jae
wo rasman hi sahi lekin khabar lete raho us ki
dil aakhir dil hai kya jaane kahan ja kar bahal jae

35271 viewsghazal • English