abhi ki fursat-e-be-kari-e-junun hai bahut hamara haal bhi pahle se ab zubun hai bahut dhuan dhuan si hai kuchh shahr-e-zindagi ki faza bas ek dil hai yahan par ki shoala-gun hai bahut na shauq-e-lazzat-e-duniya na zauq-e-aish-e-dawam hamare dil pe teri chashm ka fusun hai bahut hamara dil ki kisi kaam ka raha hi nahin tumhaari chashm ki ab tak bhi surma-gun hai bahut