abhi mara tha abhi mar ke ji uTha hun main

By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
abhi mara tha abhi mar ke ji utha hun main
jahan kata tha wahin se panap raha hun main
meri sada hi meri nind tod deti hai
na jaane khwab mein kis ko pukarta hun main


khayal-e-yar hai ek bahr-e-bekaran ki tarah
zara sa socha tha aur dub sa gaya hun main
ghalat hai mujh se ye tartib-e-raushni ka gila
ki sham hi se hawaon mein jal raha hun main


samet rakkha hai dushman ne mujh ko hathon mein
ki apni pith ke pichhe bandha hua hun main
49329 viewsghazalEnglish