abhi qubul hai mujhko udas ho jaana

By aamir-azherDecember 30, 2023
abhi qubul hai mujh ko udas ho jaana
abhi nasib hai qadmon mein un ke so jaana
kisi kitab se kaise koi nikalta hai
kisi kitab se tuta gulab to jaana


teri shabih mein dekha jahan mein jo dekha
teri misal se jaana jahan mein jo jaana
zamana ek mein tahlil kar raha hai magar
hamesha main ne safed-o-siyah ko do jaana


ye kis ke ashk pade hain ye qabr kis ki hai
ye kaun rok raha hai kisi ka kho jaana
ye kitni martaba kitnon ke sath hota hai
nikal kar ek safar par safar ka ho jaana


bala ke she'r the 'amir' bala ka shor bhi tha
bala ka shahr tha jis ne na aap ko jaana
76294 viewsghazalEnglish