abhi tak tishna-e-takmil meri zindagani hai
By badr-jamaliOctober 24, 2023
abhi tak tishna-e-takmil meri zindagani hai
abhi tak intizar-e-dost ki baqi kahani hai
ye apni zindagi ramz-e-man-o-tu ki kahani hai
na kuchh qurb-e-makani hai na kuchh bo'd-e-zamani hai
murattab kar raha hun dastan husn-e-gurezan ki
tabi'at mein ba-ru-e-kar dariya ki rawani hai
tumhaara husn bhi kaamil hamara 'ishq bhi qabil
na is ka koi ham-sar hai na is ka koi sani hai
'jamali' yas-o-hasrat ke siwa kuchh bhi nahin paya
ye apni zindagi bargashta qismat ki kahani hai

57885 viewsghazal • English