abhi wo kamsin ubhar raha hai abhi hai us par shabab aadha abhi jigar mein khalish hai aadhi abhi hai mujh par itab aadha hijab o jalwe ki kashmakash mein uthaya us ne naqab aadha idhar huwaida sahab aadha udhar ayan mahtab aadha mere sawal-e-visal par tum nazar jhuka kar khade hue ho tumhin batao ye baat kya hai sawal pura jawab aadha lapak ke mujh ko gale lagaya khuda ki rahmat ne roz-e-mahshar abhi sunaya tha mohtasib ne mere gunah ka hisab aadha baja ki ab baal to siyah hain magar badan mein sakat nahin hai shabab laya khizab lekin khizab laya shabab aadha laga ke lase pe le ke aaya hun shaikh sahab ko mai-kade tak agar ye do ghont aaj pi len milega mujh ko sawab aadha kabhi sitam hai kabhi karam hai kabhi tawajjoh kabhi taghaful ye saf zahir hai mujh pe ab tak hua hun main kaamyab aadha kisi ki chashm-e-surur aawar se ashk aariz pe dhal raha hai agar shuur-e-nazar hai dekho sharab aadhi gulab aadha purane waqton ke log khush hain magar taraqqi pasand khamosh teri ghazal ne kiya hai barpa 'sahar' abhi inqilab aadha
This is a great inqilab shayari in hindi. True lovers of pasand pe shayari will love this. Please share if you liked this!!!