abru hai kaba aaj se ye nam rakh diya hum ne utha ke taq pe islam rakh diya nashshe mein ja gira jo main masjid mein sar ke bal zahid ne mujh pe sajde ka ilzam rakh diya jhichka wo khauf kha ke to main ne tadap ke khud barchhi ki nok par dil-e-nakaam rakh diya dilchasp nam sun ke lage mangne hasin kis ne zara se khun ka dil nam rakh diya itni to us ne ki meri dil-soziyon ki qadr turbat pe ek charagh sar-e-sham rakh diya juda jo bandh gaya to nae dil kahan phansen tu ne idhar lapet ke kyun dam rakh diya aankh is ada se us ne dikhai ki main ne 'shauq' chupke se apna mai ka bhara jam rakh diya