achanak ho gain nukte ki baaten

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
achanak ho gain nukte ki baaten
hamare darmiyan paise ki baaten
achanak guftugu ne rang badla
nikal aain bahut pahle ki baaten


jahan har waqt koi mar raha ho
wahan karte nahin marne ki baaten
bahane se sunaya haal apna
hui tujh se tere jaise ki baaten


na ghar jaane ki ab jaldi hai koi
na ghar ko chhod kar jaane ki baaten
jo sahil par hain un ka dukh bhi samjho
hamesha dubne wale ki baaten


47896 viewsghazalEnglish