achchha to tum aise the dur se kaise lagte the hath tumhaare shaal mein bhi kitne thande rahte the samne sab ke us se hum khinche khinche se rahte the aankh kahin par hoti thi baat kisi se karte the qurbat ke un lamhon mein hum kuchh aur hi hote the sath mein rah kar bhi us se chalte waqt hi milte the itne bade ho ke bhi hum bachchon jaisa rote the jald hi us ko bhul gae aur bhi dhoke khane the