ada-e-rasm-e-mohabbat KHata si lagti hai

By anwar-ansariJune 13, 2021
ada-e-rasm-e-mohabbat khata si lagti hai
hamein to apni wafa bhi saza si lagti hai
safar mein dhup ka ehsas tak nahin hota
hamare sar pe kisi ki dua si lagti hai


wo meri fikr ko chhuta hai jab khayalon mein
har ek lafz mein bu-e-hina si lagti hai
main apne aap ko pata hun ru-ba-ru apne
tumhaari yaad bhi ab aaina si lagti hai


ye surkh phul se chehre bhi zard-mail hain
nasim-e-subh-e-chaman kuchh khafa si lagti hai
mujhe zawal sa lagta hai aadamiyyat ka
jab aadmi ki ana bhi khuda si lagti hai


mujhe talash hai ai dost aise logon ki
ki talkh baat bhi jin ko dawa si lagti hai
ye ranj-o-gham ye masaib teri inayat hain
meri fughan bhi teri hi ata si lagti hai


ye zindagi to fasadon ko saunp di hum ne
ye rasm-o-rah-e-aqidat fana si lagti hai
ghubar chhaya hai 'anwar' yun tassub ka
faza-e-dahr koi baddua si lagti hai


36952 viewsghazalEnglish