adab ko itna gira rahe ho koi sunega to kya kahega
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
adab ko itna gira rahe ho koi sunega to kya kahega
sukhan ki 'azmat ghata rahe ho koi sunega to kya kahega
diyon ka nam-o-nishan mita kar tum un ka khun-e-jigar mila kar
charagh apna jala rahe ho koi sunega to kya kahega
hamesha jis ne samaj mein ki tumhaare 'aibon ki parda-poshi
usi pe tohmat laga rahe ho koi sunega to kya kahega
hai ghar mein jis se khuda ki rahmat hai jis ke qadmon ke niche jannat
usi ko zahmat bata rahe ho koi sunega to kya kahega
jinhon ne tum ko janam diya hai padha likha kar bada kiya hai
unhen hi aankhen dikha rahe ho koi sunega to kya kahega
hai jin se shakh-e-wafa mahakti hai jin ke khun mein watan-parasti
unhen fasadi bata rahe ho koi sunega to kya kahega
mohabbaton ke gulab tum par hamesha hum ne kiye nichhawar
hamin pe nashtar chala rahe ho koi sunega to kya kahega
masarraton ke diye jala kar zaruraton ka gala daba kar
ghamon ko 'alam' chhupa rahe ho koi sunega to kya kahega

64782 viewsghazal • English