adawat dil mein rakhte ho zaban par pyar kya matlab kabhi nafrat kabhi ulfat ka hai izhaar kya matlab chalo hum man lete hain tumhin ko raaz-dan lekin karo ho raaz ko ifsha sar-e-bazar kya matlab abhi to thik se baithe nahin jaane ki jaldi hai achanak laut kar jaane ka hai ai yar kya matlab jo thak kar baith jata hai use maghlub kahte hain musalsal juhd jo karta hai us ki haar kya matlab husul-e-ilm ki khatir to zarben sahni padti hain gharaz islah hoti hai faqat aazar kya matlab