adil-e-waqt amiron ke zar pe palta raha

adil-e-waqt amiron ke zar pe palta raha
jabhi to mulk mein zalim ka roab chhaya raha

tamam pyason ne dariya ka rukh kiya aur main
tumhaare aansu hatheli pe le ke baitha raha

bahut se log bhulae pe wo nahin bhula
kai sitare bujhe par wo chand jalta raha

tabib badhte gae aur mariz marte rahe
darun-e-shahr yahi karobar chalta raha

hawa-e-tez mere zehn se guzarti rahi
main teri yaad ke sare diye bachata raha

ye dhup waqt se pahle tapish ganwati rahi
musafiron ka safar mein shabab dhalta raha

ye meri man ki dua hai jabhi to zindagi mein
bahut si thokaren khain magar sanbhalta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close