adl ko bhi mizan mein rakhna padta hai har ehsan ehsan mein rakhna padta hai yun hi gyan ki daulat hath nahin aati be-dhyani ko dhyan mein rakhna padta hai jab bhi safar par jaane lago to yaad rahe khud ko bhi saman mein rakhna padta hai apne hone aur na hone ka imkan honi ke imkan mein rakhna padta hai is nile aakash ko chhu lene ke liye khud ko unchi udan mein rakhna padta hai yun hi jang kabhi jiti nahin ja sakti qadam apna maidan mein rakhna padta hai thodi der tilawat kar chikne ke baad mor ka par quran mein rakhna padta hai kabhi kabhi to nafa ke lalach mein 'sahir'! khud ko kisi nuqsan mein rakhna padta hai