adu ke takne ko tum idhar dekho udhar dekho magar hum tum ko dekhe jaen tum chaho jidhar dekho ladai se yunhi to rokte rahte hain hum tum ko ki dil ka bhed kah deti hai tum chaho jidhar dekho adaen dekhne baithe ho kya aaine mein apni diya hai jis ne tum jaise ko dil us ka jigar dekho sawal-e-wasl par kuchh soch kar us ne kaha mujh se abhi wada to kar sakte nahin hain hum magar dekho na karna tark 'bekhud' mohtasib ke dar se mai-khwari kahin dhabba laga lena na apne nam par dekho