adu ki maut ka tumko agar malal hua

By boom-merathiAugust 31, 2023
adu ki maut ka tum ko agar malal hua
mujhe khushi hai ki sale ka intiqal hua
na is liye mujhe ghurbat ka kuchh malal hua
tumhaare husn ki daulat se mala-mal hua


na dur dil se abhi tak tere malal hua
adu ki maut ko haalanki dedh sal hua
wo kaun hai ki na jis ko tera khayal hua
har ek khayal ki zinat tera jamal hua


kabhi na tum ko gharibon ka kuchh khayal hua
usi ke ho gae jis ki girah mein mal hua
na faeda hai na dushman ka intiqal hua
pade hue use bistar pe ek sal hua


kiya tha wada kabhi tum ne kal ke milne ka
tumhaari ek isi kal ko dedh sal hua
khuda ki shan hai baam-e-uruj par pahuncha
wo dil jo aap ki thokar se paemal hua


tumhaara ghar nahin khasa ye mazbah-khana hai
jo bad-nasib yahan aa gaya halal hua
tumhaari tegh-e-ada se na bach saka koi
jo aadhe zakhmi to aadhon ka intiqal hua


wo mangte hain usi din duaen marne ki
mariz-e-ishq ka jis dam kharab haal hua
pade hain sainkadon tegh-e-nigah ke zakhmi
ki achchha khasa tera ghar hi haspatal hua


jahan bhi mil gae jabran lipat gaya un ko
kabhi na raazi se pura mera sawal hua
khuda ke waste aa jao ab to pahlu mein
tumhaare hijr mein jina mera muhaal hua


usi ke ho gae ai 'bum' sainkadon dushman
jahan mein koi agar sahib-e-kamal hua
58083 viewsghazalEnglish