afi ki tarah Dasne lagi mauj-e-nafas bhi
By ahmad-farazJanuary 1, 2024
af'i ki tarah dasne lagi mauj-e-nafas bhi
ai zahr-e-gham-e-yar bahut ho chuki bas bhi
ye habs to jalti hui rut se bhi giran hai
ai thahre hue abr-e-karam ab to baras bhi
aain-e-kharabaat mo'attal hai to kuchh roz
ai rind-e-bala-nosh-o-tahi-jam taras bhi
sayyaad-o-nigahban-e-chaman par hai ye raushan
aabaad hamin se hai nasheman bhi qafas bhi
mahrumi-e-jawed gunah-gar na kar de
badh jati hai kuchh zabt-e-musalsal se hawas bhi

97347 viewsghazal • English