afsana-e-gham yun bhi dil-e-zar kaha hai ek bar jo puchha hai to sau bar kaha hai jo baat teri bazm mein hum kah na sake the us baat ko logon ne sar-e-dar kaha hai mamnun hain us shokh ke ai baad-e-saba hum phulon ki zabani jo hamein pyar kaha hai mumkin hai usi rah se manzil pe pahunch jaen dil walon ne jis rah ko dushwar kaha hai wo fakhr-e-masiha hai magar ahl-e-khirad ne hairat hai use nargis-e-bimar kaha hai arzan hui yun jins-e-mohabbat ki jahan mein hum se tahi-daman ko kharidar kaha hai