afsurdagi mein rahna mera kaam bhi to hai
By abu-hurrairah-abbasiSeptember 2, 2024
afsurdagi mein rahna mera kaam bhi to hai
tarke mein chunki gardish-e-ayyam bhi to hai
baithen zara janab kahan aap chal diye
mahfil mein khas raat ka ek jam bhi to hai
pura hai ehtimam mere dil ke waste
mahfil mein zikr-e-yar hai aur sham bhi to hai
zalim jo likh raha hai yahan dastan-e-zulm
is dastan-e-zulm ka anjam bhi to hai
qazi yahan pe kyon na rakhe zalimon ki laj
qazi ke waste phir ek in'am bhi to hai
duniya mein har burai ka khatma bhi sath hai
rawan ke sath sath yahan ram bhi to hai
kuchh 'mir' ji si ho to koi baat bhi bane
warna ye sha'iri yahan par 'am bhi to hai
jo kuchh bhi likh raha hun main nok-e-qalam se aaj
ye sab khuda ki den hai ilham bhi to hai

99804 viewsghazal • English