agar aap chahen to gardan uDa den

By arshad-rasool-badayuniOctober 27, 2023
agar aap chahen to gardan uda den
ye mumkin nahin hum qasida suna den
hamein gham ki tauhin karni nahin hai
jagah be-jagah kaise aansu gira den


yahan bhuk ro kar yahi kah rahi hai
sukun ke liye zahr de kar sula den
makan ban gaya hai bada khub-surat
munasib agar ho ise ghar bana den


khuda man sakte nahin nakhuda ko
bhale hi wo 'arshad' safina duba den
58088 viewsghazalEnglish