agar arz-e-tamanna ko faqat lutf-e-zaban samjha

By musavvir-karanjaviJanuary 21, 2022
agar arz-e-tamanna ko faqat lutf-e-zaban samjha
to phir ai sunne wale khak meri dastan samjha
na phulon ki hansi dekhi na bulbul ki fughan samjha
chaman ka raaz phir kis munh se kahta hai ki han samjha


ye meri khud-farebi hai ki majburi khuda jaane
main sahra ko chaman samjha qafas ko aashiyan samjha
samae husn-e-gul kya us nigah-e-shoala-parwar mein
ki jis ne barq-e-taban ko charagh-e-ashiyan samjha


bana den phul kanton ko gulon mein bijliyan bhar den
chaman mein dil-jale aise bhi hain ai baghban samjha
yahan ka zarra zarra aasman ki chaal chalta hai
zamin-e-ku-e-jaanan ko dil-e-wahshi kahan samjha


kiya ifsha-e-raaz-e-husn har taswir kahti hai
ghalat samjha 'musawwir' ko jo tum ne raaz-dan samjha
50270 viewsghazalEnglish