agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti

By saghar-siddiquiJune 24, 2022
agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti
khayalon ki rangin jannat na hoti
sitaron ke dilkash fasane na hote
bahaaron ki nazuk haqiqat na hoti


jabinon pe nur-e-masarrat na khilta
nigahon mein shan-e-murawwat na hoti
ghataon ki aamad ko sawan taraste
fazaon mein bahki baghawat na hoti


faqiron ko irfan-e-hasti na milta
ata zahidon ko ibaadat na hoti
musafir sada manzilon par bhatakte
safinon ko sahil ki qurbat na hoti


har ek phul ka rang phika sa rahta
nasim-e-bahaaran mein nikhat na hoti
khudai ka insaf khamosh rahta
suna hai kisi ki shafaat na hoti


36972 viewsghazalEnglish