agar dushman ki thodi si marammat aur ho jati to phir ullu ke paththe ko nasihat aur ho jati shab-e-wada main un ki kam-sini se dar gaya warna zara si baat par nazil musibat aur ho jati yahi achchha hua tu ne jo zulfon ko munda dala nahin to tere diwanon ki haalat aur ho jati agar tum nim-uryan hashr ke maidan mein aa jate qayamat mein phir ek barpa qayamat aur ho jati sharab-e-nab ki karta mazammat phir na bhule se jo mai-khane mein waiz ki marammat aur ho jati na un ki kam-sini se main saza pata adalat se jo un ke aashnaon ki shahadat aur ho jati laga karti hazaron aashiqon ko be-khata phansi hasinon ki agar ghar ki adalat aur ho jati khata peshab dushman ka hua ghar un ke pitne se maza jab tha ki sale ko ijabat aur ho jati hamein chaaron taraf se gher rakha hai girani ne mere allah ye duniya se ghaarat aur ho jati agar bosa diya hai wasl ka wada bhi kar lije inayat ki to thodi si inayat aur ho jati agar dil ko bachata main na zulfon ke adange se to duniya bhar se lambi sham-e-furqat aur ho jati dua hai 'bum' ki yarab ye cotton mills ki babat taraqqi aur hoti zeb-o-zinat aur ho jati