agar gul ki koi pati jhadi hai to sau sau bar bulbul gir padi hai nazar kya jae su-e-shisha-o-jam hamari aankh saqi se ladi hai ye hai josh-e-bahaar un ke chaman mein ki har ek shakh phulon ki chhadi hai suni rifat sulaiman ki to bole hamari ek anguthi gir padi hai tumhaari zulf se kam hai shab-e-hijr magar roz-e-qayamat se badi hai ek aane ka hai ek jaane ka hangam ye qissa zindagi ka do-ghadi hai nahin hatti tumhaare chehre se zulf ye shayad bosa lene par adi hai hazaron dagh lakhon hasraten hain hamare dil ki bhi basti badi hai hua kya jild-e-khak apna tan-e-zar jahan hum the wahan mitti padi hai mare hain dar pe hum wo puchhte hain ye kis ki lash raste mein padi hai jo dekhi hai nigah-e-mast-e-saqi to bijli ladkhada ke gir padi hai jo apna mal hoga khair hoga 'rashid' ab to hamein dil ki padi hai