agar hon goya to phir be-takan bolte hain magar ye log lahu ki zaban bolte hain zamin jo panw ke niche hai us ka malik hun pe mere nam pe kitne lagan bolte hain chhupa na qatl mera ehtiyat ke ba-wasf jo us ne chhode nahin wo nishan bolte hain zamin pe jab koi mazlum aah bharta hai sitare tutte hain aasman bolte hain chhupae chhupte nahin hadse jo guzre hon makin chup hon to 'ahmad' makan bolte hain