agar hum un ke chakkar mein na yun aate to achchha tha kunware zindagi bhar rah ke mar jate to achchha tha muqaddar mein likha tha hum jo un se ja ke takrae kisi patthar se apne sar ko takraate to achchha tha gae the baalti bharne pe un se ishq kar baithe ghade apne kisi masjid se bhar late to achchha tha musibat ban gaya ghodi pe sahra bandh kar chadhna khushi se hum agar suli pe chadh jate to achchha tha raqibon ne hamari khana-abaadi mein shirkat ki usi mauqa pe ye kambakht ad jate to achchha tha wahi shadi ka laddu kha ke pachhtana pada hum ko takalluf waqai us waqt farmate to achchha tha kahan hai tab-o-taqat jis pe tum ko naz rahta tha jawani par na tum 'masrur' itraate to achchha tha