agar main waqt se pahle baDa nahin hota

By syed-masood-naqviJanuary 5, 2024
agar main waqt se pahle bada nahin hota
to aisa haal bhi mera hua nahin hota
agar wo aadmi zid par ada nahin hota
to aaj jaan se apni gaya nahin hota


ki jaanta hun use us se bhi ziyaada main
mujhe khabar hai use jo pata nahin hota
mere badon ne sikhaya mujhe ye bachpan mein
bada jo kahta ho khud ko bada nahin hota


sabaq jo milta hai hum ko har ek thokar se
kisi kitab mein ye sab likha nahin hota
kare jo pichhe burai bura hai shakhs wahi
burai munh pe kare jo bura nahin hota


wo aastin mein tumhein 'umr-bhar makin rakhta
jo is tarah se na 'mas'ud' ko dasa hota
15684 viewsghazalEnglish