agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti

By abu-mohammad-wasil-bahraichiOctober 23, 2020
agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti
to phir mahshur un ke sath apni zindagi hoti
jo taswir-e-khyali naqsh dil par ho gai hoti
to apni zat mein har-dam teri jalwa-gari hoti


raza-e-dost par qurban jis ki har khushi hoti
haqiqat mein usi ki gham se khali zindagi hoti
nigah-e-mast-e-saqi se jo mai-khwaron ne pi hoti
yaqinan hashr tak un ko na phir tishna-labi hoti


husul-e-dard-o-gham ki koshishon mein gar kami hoti
surur-o-kaif ki lazzat kahan mujh ko mili hoti
mujhe wo baaton baaton mein agar diwana kah dete
to diwanon mein meri mo'atabar diwangi hoti


tere mashq-e-sitam hi ne kisi qabil kiya mujh ko
tera ehsan warna zindagi kis kaam ki hoti
tumhaara aaina ban kar jo dil pesh-e-nazar rahta
tumhin tum jalwa-gar hote na surat dusri hoti


tasawwur hi ke aalam mein jo wo taklif farmate
to kyun furqat-nasibon ke liye shab hijr ki hoti
agar teri tarah tabligh karta pir-e-mai-khana
to duniya-bhar mein waiz mai-kashi hi mai-kashi hoti


tumhaari be-niyazi ko gharaz kab hai magar meri
tamanna hai jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti
hayat-o-maut ka paigham deta har-nafas 'wasil'
kabhi ru-posh wo hote kabhi jalwa-gari hoti


jo mabudan-e-baatil ki jahan mein sarwari hoti
muqabil haidari ke past kyun kar marhabi hoti
50379 viewsghazalEnglish