agar mujhko zamin hona paDega

By shahbaz-mehterFebruary 2, 2022
agar mujh ko zamin hona padega
jahan tum ho wahin hona padega
tumhein ye duniya chumegi hamesha
magar us ki jabin hona padega


jawani ki mohabbat ka bhala ho
mujhe budha nahin hona padega
khuda yaksaniyat se thak na jae
kisi ko be-yaqin hona padega


ye shair kaam par lag jaenge phir
tumhein kuchh kam hasin hona padega
69760 viewsghazalEnglish