agar shane pe din ke raat ka parcham nahin hota ye aalam kuchh bhi hota khushnuma aalam nahin hota kisi surat tapakta zakhm dil ka kam nahin hota ye zakhm-e-dil hai ye minnat-kash-e-marham nahin hota masarrat se masarrat aur gham se gham nahin hota ajab hota hai aalam jab koi aalam nahin hota bharosa nakhuda pe karne wala dub jata hai pukare jo khuda ko gharq-e-mauj-e-yam nahin hota shahadat pai hai dil ne fida-e-gul-rukhan ho kar shahidon ka hamare din mein matam nahin hota zahe-qismat ki aaghosh-e-haram hai aur hum warna gunahon ka sila to saghar-e-zamzam nahin hota 'naim' apna liya hai hum ne gham sare zamane ka ki jab had se guzar jata hai gham phir gham nahin hota