agar taqdir teri bais-e-azar ho jae tujhe lazim hai us se bar-sar-e-paikar ho jae meri kashti hai main hun aur girdab-e-mohabbat hai jo tu ho na-khuda mera to beda par ho jae kamal-e-zabt-e-gham se ye gawara hi nahin mujh ko ki harf-e-arzu sharminda-e-izhaar ho jae tere khwab-e-giran par ai dil-e-nadan tajjub hai ki tu sota rahe sara jahan bedar ho jae unhen kyun kosta hai jo tujhe kahte hain kam-himmat bura kya hai haqiqat ka agar izhaar ho jae tumhein ai arsh kyun hai tir-e-gham se itni be-zari yahi behtar hai ye nawak jigar ke par ho jae