agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishaara to main tumhaara ghurur-parwar ana ka malik kuchh is tarah ke hain nam mere magar qasam se jo tum ne ek nam bhi pukara to main tumhaara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun bazi agar main jita to tum ho mere agar main haara to main tumhaara tumhaara aashiq tumhaara mukhlis tumhaara sathi tumhaara apna raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara tumhaara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta hun agar muqaddar ka koi tuta kabhi sitara to main tumhaara ye kis pe tawiz kar rahe ho ye kis ko pane ke hain wazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhaara