agar zara bhi kisi sar ka zikr hota hai

By
agar zara bhi kisi sar ka zikr hota hai
to zor-shor se patthar ka zikr hota hai

amir-e-shahr ke talab ke kinare par
dabi zaban mein samundar ka zikr hota hai

jala ke ek shikasta charagh-e-nakaami
tamam raat muqaddar ka zikr hota hai

wo jis ke samne do-chaar pal thahar jae
to aasman mein us ghar ka zikr hota hai

tumhaari bazm mein jannat ki baat hoti hai
hamari bazm mein mahshar ka zikr hota hai

gharib rote hain pahle to khali hathon par
phir us ke ba'd sikandar ka zikr hota hai

tamam shahr ke darwaze bol uthte hain
gali-gali mein tere dar ka zikr hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close