agarche ghair ke hathon lahuluhan hua

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
agarche ghair ke hathon lahuluhan hua
magar main apni taraf se bhi bad-guman hua
jo pad gaya tha kabhi khud meri nigahon par
wo ek parda mere haq mein aasman hua


wo jis ke waste duniya thi gosh-bar-awaz
wo majra meri aankhon hi se bayan hua
talash us ki thi maqsud dair-o-ka'ba kya
hamara rukh tha jidhar us ka ek nishan hua


hamare zarf ko kya aazmate ahl-e-hawas
isi bahane khud un ka bhi imtihan hua
bahut malul the jis daman-e-darida par
wahi safina-e-hasti ka baadban hua


azal se tha wo hamare wujud ka hissa
wo ek shakhs ki jo hum pe mehrban hua
zara jo tez chale hum to koi sath na tha
hisar-e-fikr hi bas apna pasban hua


78844 viewsghazalEnglish