agarche main ek chatan sa aadmi raha hun magar tere baad hausla hai ki ji raha hun wo reza reza mere badan mein utar raha hai main qatra qatra usi ki aankhon ko pi raha hun teri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hun khuli hain aankhen magar badan hai tamam patthar koi batae main mar chuka hun ki ji raha hun kahan milegi misal meri sitamgari ki ki main gulabon ke zakhm kanton se si raha hun na puchh mujh se ki shahr walon ka haal kya tha ki main to khud apne ghar mein bhi do ghadi raha hun mila to bite dinon ka sach us ki aankh mein tha wo aashna jis se muddaton ajnabi raha hun bhula de mujh ko ki bewafai baja hai lekin ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha hun wo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin' ye naz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hun