agarche sakht safar hai dhuan ghana hoga kahin koi to meri rah dekhta hoga tamam hota kahan hai kabhi nadi ka safar wo ja mile to samundar bhi rasta hoga azab aae sitam aae saneha aae main muntazir hun ki kuchh zist mein naya hoga main mar gaya to meri buzdili khabar hogi main ji gaya to tera shukriya ada hoga sitare tank raha hai jo khwab mein sab ke wo surkhiyon se khabar ki hi lapata hoga wo jis ne hum ko bhulawe si zindagi di hai zarur us ne koi rasta diya hoga